اردو हिंदी
Ghazlen likh likh pagal hone wala hun | Shaahi Shayari
ghazlen likh likh pagal hone wala hun

Ghazal

Ghazlen likh likh pagal hone wala hun

Fakhr Abbas

;

ghazlen likh likh pagal hone wala hun
jhuT nahin ab sach mein rone wala hun

baaten karna phone pe jaan ab chhoDo bhi
KHwab mein aao main bhi sone wala hun

hath pakaD kar rok lo meri jaan mujhe
phir duniya ki bhiD mein khone wala hun

aur na maila kar dun us ke daman ko
dagh jo us ke dil se dhone wala hun

us ko kis ummid pe apna bol diya
main to aur kisi ka hone wala hun

gali gali bahlata phirta bachchon ko
tum samjho ek shaKHs khilaune wala hun

kaghaz ke ye phul mahakte thoDi hain
main lafzon ke haar pirone wala hun