ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti
magar ek masala ye hai ki meyari nahin hoti
agar chehra badalne ka hunar tum ko nahin aata
to phir pahchan ki parchi yahan jari nahin hoti
samundar se to majburi hai us ki roz milna hai
bahut chaalak hai lekin nadi khaari nahin hoti
bataun kya mujhe mohtat rahna aa gaya kaise
na jaane mujh pe kyun wahshat koi tari nahin hoti
sipahi se sipah-salar banna kitna aasan hai
magar majbur hun main mujh se ghaddari nahin hoti
hawa ki shart hum kyun mante kyun is tarah dabte
hamein gar sans lene ki ye bimari nahin hoti
Ghazal
Ghazal kahne mein yun to koi dushwari nahin hoti
Sardar Asif