اردو हिंदी
Gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai | Shaahi Shayari
gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai

Ghazal

Gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai

Prem Shankar Goila Farhat

;

gareban-e-qaba-e-zist mein ek tar baqi hai
ajal dam le abhi to manzil-e-dushwar baqi hai

zara ai dil mohabbat ka tarana tez-tar kar de
abhi kuchh imtiyaz-e-kafir-o-din-dar baqi hai

sitamgari ko tanha kyun shiar-e-asman samjhun
abhi sharh-e-mizaj-e-charKH-e-kaj-raftar baqi hai

bala-nosh is KHarabaat-e-jahan se kis qadar guzre
lab-e-saghar pe zikr-e-rind-e-KHush-atwar baqi hai

rahe garm-e-tawaf-e-dair-o-kaba muddaton lekin
tamanna-e-tawaf-e-astan-e-yar baqi hai