gardish-e-jam nahin gardish-e-ayyam to hai
sai-e-nakaam sahi phir bhi koi kaam to hai
dil ki betabi ka aaKHir kahin anjam to hai
meri qismat mein nahin dahr mein aaram to hai
mail-e-lutf-o-karam husn-e-dil-aram to hai
meri KHatir na sahi koi sar-e-baam to hai
tu nahin mera masiha mera qatil hi sahi
mujh se wabasta kisi taur tera nam to hai
halqa-e-mauj mein ek aur safina aaya
sahil-e-bahr pe kohram ka hangam to hai
tang-dasto tahi-damano karo shukr-e-KHuda
mai-e-gulfam nahin hai shafaq-e-sham to hai
Ghazal
Gardish-e-jam nahin gardish-e-ayyam to hai
Ahmad Rahi