gar talli par hai wahm-e-imtihan-e-mai-farosh
be-nishan ho kar nikalenge nishan-e-mai-farosh
sajde karte hain KHum-e-mai ko wufur-e-nashsha mein
surat mina-e-mai maddah shan-e-mai-farosh
jam-o-mina-o-surahi-o-subu se be-guman
saqi-e-mushfiq pe hota hai guman-e-mai-farosh
bhaTTiyon par ja ke puchhenge bahaar aane to do
aalam-e-masti mein maston se bayan-e-mai-farosh
shisha-o-jam-o-surahi-o-subu kya mal hain
baKHsh denge josh-e-masti mein dukan-e-mai-farosh
mai-kade mein duKHt-e-raz ko la biThaenge zarur
pahlu-e-mina-e-dil mein mehman-e-mai-farosh
jam aankhen hain to baada ashk hai shisha hai dil
dekh o mai-nosh main bhi hun laban-e-mai-e-farosh
kis qadar chamka hua hai baada-e-gulgun ka daur
ek aalam aaj-kal hai mehman-e-mai-farosh
main bhi hun ek saqi-e-mai-nosh tere daur mein
kafsh-bardar-e-sharik-e-KHadinman-e-mai-farosh
KHum ke KHum kar dun tahi dam-bhar mein wo mai-nosh hun
ai 'shagufta' hath aae gar dukan-e-mai-farosh

Ghazal
Gar talli par hai wahm-e-imtihan-e-mai-farosh
Munshi Khairati Laal Shagufta