اردو हिंदी
Ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh | Shaahi Shayari
ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh

Ghazal

Ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh

Bayan Meeruti

;

ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh
surat-e-abru hamare sar chaDhi jati hai tegh

hote hain qurban shahadat mein gale mil kar shahid
dosh-e-qatil par hilal-e-id ban jati hai tegh

past KHam khae hue lab KHushk dam Duba hua
chalte chalte ab to o zalim thaki jati hai tegh

be-gunahi ka bura ho zaKHm-e-be-lazzat hue
dast-e-qatil mein ba-rang-e-bed tharraati hai tegh

is ki gardan par mera KHun us ka ehsan mere sar
us se jhuk jata hun main aur mujh se jhuk jati hai tegh

par dariya-e-shahadat se utar jate hain sar
kashti-e-ushshaq ki mallah ban jati hai tegh

KHun garmata hai jab pani mein lahraata hua
misl-e-mahi KHauf ke mare uchhal jati hai tegh

abru-e-KHun-KHar qatil ka koi pursan nahin
ab nikalti hai kahin to quraq ho jati hai tegh

kab bujhe is tarah hai shauq-e-shahadat ki ye pyas
zaKHm ke munh mein zaban ban kar nikal aati hai tegh

marhaba jazb-e-shahadat us ka maghrib hai gulu
aap manzil par hilal-asa pahunch jati hai tegh

tishna-kaamo ghaT se utre to beDa par hai
chashma-e-kausar chhalakta hai ki lahraati hai tegh

laDti hai chhinTe lab-e-ju rang kaisa lal hai
mar kar pani mein ghota KHun mein nahlati hai tegh

zaKHm-e-kari ne kahin munh khol kar kuchh kah diya
kya hua qabze se bahar kyun hui jati hai tegh

jaan se ushshaq jate hain guzar kaTte hain ghair
pul-siraat-e-imtihan-e-ishq kahlati hai tegh

aaftab-e-dagh-e-sauda ki hararat dekh kar
chhanw mein dil tuftgan-e-gham ko biThlati hai tegh

muddai dar-parda kaT kaT jate hain shakl-e-niyam
ai 'bayan' meri zaban-e-tez kahlati hai tegh