gham yan to bika hua khaDa hai
fidwi hai fida hua khaDa hai
hilta nahin tere dar se ye ishq
muddat se mila hua khaDa hai
KHunin-kafan-e-shahid-e-ulfat
dulha sa bana hua khaDa hai
Tuk gosha-e-chashm idhar bhi koi
kone se laga hua khaDa hai
daman ka hai gher gird-e-jaanan
kyun ji wo ghira hua khaDa hai
yun dil ko baghal mein main ne pala
ye mujh pe pila hua khaDa hai
kya samjhe namaz-e-ishq naseh
qible se bhara hua khaDa hai
mujre ko tumhaare abruon ke
mehrab jhuka hua khaDa hai
mizan nahin milti meri us ki
ghussa mein pila hua khaDa hai
ghar se to nikal ki dar pe 'ehsan'
kya gham mein ghira hua khaDa hai
palkon se giri hai ashk Tap Tap
paT se wo laga hua khaDa hai
Ghazal
Gham yan to bika hua khaDa hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi