اردو हिंदी
Gham mein ek mauj sarKHushi ki hai | Shaahi Shayari
gham mein ek mauj sarKHushi ki hai

Ghazal

Gham mein ek mauj sarKHushi ki hai

Ehtisham Husain

;

gham mein ek mauj sarKHushi ki hai
ibtida si KHud aagahi ki hai

kise samjhaen kaun manega
jaise mar mar ke zindagi ki hai

bujhin shamen to dil jalae hain
yun andheron mein raushni ki hai

phir jo hun us ke dar pe nasiya sa
main ne ai dil teri KHushi ki hai

main kahan aur dayar-e-ishq kahan
gham-e-dauran ne rahbari ki hai

aur umDe hain aankh mein aansu
jab kabhi us ne dil-dahi ki hai

qaid hai aur qaid-e-be-zanjir
zulf ne kya fusun-gari ki hai

main shikar-e-itab hi to nahin
mehrban ho ke baat bhi ki hai

bazm mein us ki bar pane ko
dushmanon se bhi dosti ki hai

un ko nazren bacha ke dekha hai
KHub chhup chhup ke mai-kashi ki hai

har taqaza-e-lutf par us ne
taza rasm-e-sitamgari ki hai