اردو हिंदी
Gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi | Shaahi Shayari
gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi

Ghazal

Gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi

Nasir Kazmi

;

gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi
guzri jo tere sath shab yaad rahegi

har-chand tera ahd-e-wafa bhul gae hum
wo kashmakash-e-sabr-talab yaad rahegi

sine mein umangon ka wahi shor hai ab tak
wo shoKHi-e-yak-jumbish-e-lab yaad rahegi

phir jis ke tasawwur mein barasne lagin aankhen
wo barhami-e-sohbat-e-shab yaad rahegi

go hijr ke lamhat bahut talKH the lekin
har baat ba-unwan-e-tarab yaad rahegi