gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main
dil-e-sitam-zada hai raaz-dan hun main
ziyaada is se koi aaj tak bata na saka
ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan hun main
nazar ke samne kaundi thi ek bijli si
mujhe batao KHuda-ra ki ab kahan hun main
KHizan ne luT liya gulshan-e-shabab magar
kisi bahaar ke arman mein jawan hun main
ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish
kisi ke dil ki tabahi ki dastan hun main
KHizan kahti thi main shoKHi-e-bahaaran hun
bahaar kahti hai rangini-e-KHizan hun main
shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main
jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah
tapish-e-jabin hai lahu sajda aastan hun main
wo din bhi the ki main jaan-e-shabab tha 'aKHtar'
ab apne ahd-e-jawani ki dastan hun main
Ghazal
Gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main
Akhtar Ansari