gham duniya ke yaad jab aaen us ki yaad bhi aane do 
ek nashshe mein aur ek nashsha ai yaro mil jaane do 
aaKHir hum ko apne haal pe KHud rona KHud hansna hai 
yaro ab kuchh der to Thahro thoDi tab to lane do 
murjhane se pahle dil ko ek hansi ki hasrat kyun 
band kali ko kuchh bhi nahin to ek tabassum pane do 
kis anmol pashemani ki daulat hai in aaankhon mein 
palkon par do aansu jhamken moti ke se dane do 
us dilbar ko pyas hamari kuchh taskin to deti hai 
jis ne hum par khol diye hain aaankhon ke mai-KHane do 
hum bhi apna hosh ganwa kar sab ke jaise ho jaen 
khul hi gai hai jab botal to bhar ke do paimane do
        Ghazal
Gham duniya ke yaad jab aaen uski yaad bhi aane do
Fay Seen Ejaz

