اردو हिंदी
Gham chhupane mein waqt lagta hai | Shaahi Shayari
gham chhupane mein waqt lagta hai

Ghazal

Gham chhupane mein waqt lagta hai

Ramesh Kanwal

;

gham chhupane mein waqt lagta hai
muskurane mein waqt lagta hai

ruTh jaane ka koi waqt nahin
par manane mein waqt lagta hai

zid ka bistar sameTiye dilbar
ghar basane mein waqt lagta hai

ja ke aane ki baat mat kije
jaane aane mein waqt lagta hai

aazma mat, bharosa kar mujh par
aazmane mein waqt lagta hai

yak-ba-yak bhulna hai na-mumkin
bhul jaane mein waqt lagta hai

wo abhi ban sanwar rahi hogi
us ko aane mein waqt lagta hai

jam pite hain jo nazar se unhen
jam uThane mein waqt lagta hai

beTiyon ko bacha ke rakhiye 'kanwal'
in ko pane mein waqt lagta hai