galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai
is shahr ka har rahne wala kyun dusre shahr mein rahta hai
ek KHwab-numa bedari mein jate hue us ko dekha tha
ehsas ki lahron mein ab tak hairat ka safina bahta hai
phir jism ke manzar-name mein soe hue rang na jag uTThen
is KHauf se wo poshak nahin bas KHwab badalta rahta hai
chhe din to baDi sachchai se sanson ne payam-rasani ki
aaram ka din hai kis se kahen dil aaj jo sadme sahta hai
har ahd ne zinda ghazlon ke kitne hi jahan aabaad kiye
par tujh ko dekh ke sochta hun ek sher abhi tak rahta hai
Ghazal
Galiyon ki udasi puchhti hai ghar ka sannaTa kahta hai
Ghulam Mohammad Qasir