gali akeli hai pyare andheri raaten hain
agar milo to sajan sau tarah ki ghaten hain
butan sin mujh kun tu karta hai mana ai zahid
raha hun sun ki ye bhi KHuda ki baaten hain
azal sin kyun ye abad ki taraf kun dauDen hain
wo zulf dil ke talab ki magar baraaten hain
raqib ijz sin maqul ho sake hain kahin
ilaj un ka magar jhagDen hain wa laten hain
karo karam ki nigahan taraf faqiron ki
nisab-e-husn ki sahab yahi zakaten hain
rahin falak ke sada her-pher mein namard
ye ranDiyan hain ki charKHa hamesha katen hain
likhunga 'abru' ab KHush-nayan kun main nama
palak qalam hain meri mardumuk dawaten hain
Ghazal
Gali akeli hai pyare andheri raaten hain
Abroo Shah Mubarak