ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
bare wo shoKH pahle se chaalak to hua
ji KHush hua hai girte makanon ko dekh kar
ye shahr KHauf-e-KHud se jigar-chaak to hua
ye to hua ki aadmi pahuncha hai mah tak
kuchh bhi hua wo waqif-e-aflak to hua
kuchh aur wo hua na hua mujh ko dekh kar
yaad-e-bahaar-e-husn se ghamnak to hua
is kashmakash mein hum bhi thake to hain ai 'munir'
shahr-e-KHuda sitam se magar pak to hua
Ghazal
Ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua
Muneer Niyazi