ghairat-e-gul hai tu aur chaak-gareban hum hain
rashk-e-sumbul hai teri zulf pareshan hum hain
na-tawan chashm teri hum hain asa ke muhtaj
nit ki bimar wo aur talib-e-darman hum hain
rashk-e-tuti hai KHat-e-sabz tera hum goya
donon aariz hain tere aaina hairan hum hain
aaj-kal hae tere naz ke hathon ai yar
sadma pahunche hai tere qalb ko nalan hum hain
lala-ruyon ki mohabbat mein ab ai sarw-e-sahi
sar-ba-sar dagh tu aur sarw-e-KHiraman hum hain
hum asir-e-KHam-e-mu tere hamara tu ram
KHatim-e-jam hai tere pas sulaiman hum hain
tu suKHan-sanj 'baqa' nam hamara mashhur
KHatim-e-jam hai tere pas sulaiman hum hain
Ghazal
Ghairat-e-gul hai tu aur chaak-gareban hum hain
Baqaullah u0027Baqau0027