gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai
karun us sitam ko main kya bayan mera gham se sina figar hai
ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui
jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai
ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah
wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke buKHar hai
na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman
jo KHitab tha wo miTa diya faqat ab to ujDa dayar hai
yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai
jo bahaar thi so KHizan hui jo KHizan thi ab wo bahaar hai
shab-o-roz phul mein jo tule kaho KHar-e-gham ko wo kya sahe
mile tauq qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai
sabhi jada matam-e-saKHt hai kaho kaisi gardish-e-baKHt hai
na wo taj hai na wo taKHt hai na wo shah hai na dayar hai
jo suluk karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se
wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai
na wabaal tan pe hai sar mera nahin jaan jaane ka Dar zara
kaTe gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi bar hai
kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo KHuda ne chaha to barmala
hamein hai wasila rasul ka wo hamara hami-e-kar hai
Ghazal
Gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai
Bahadur Shah Zafar