gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha
sahil pe bhi khaDa hua gharqab sa raha
be-nam si ek aag jalati rahi mujhe
KHun ke bajae jism mein tezab sa raha
KHali wajud hi liye phirta raha magar
kandhon pe umr bhar mere asbab sa raha
naghme bikherta raha ehsas-e-talKH bhi
KHama bhi mere hath mein mizrab sa raha
ashkon mein us ke husn ki lau tairti rahi
pani ke aasman pe mahtab sa raha
kaam aai shairi bhi 'muzaffar' ke kis qadar
tanhai mein bhi majma-e-ahbab sa raha
Ghazal
Gahraiyon mein zehn ki girdab sa raha
Muzaffar Warsi