ghaflat mein kaTi umr na hushyar hue hum
sote hi rahe aah na bedar hue hum
ye be-KHabari dekh ki jab ham-safar apne
koson gae tab aah KHabar-dar hue hum
sayyaad hi se puchho ki hum ko nahin malum
kya jaaniye kis tarah giraftar hue hum
thi chashm ki tu rahm karega kabhu so hae
ghussa ke bhi tere na saza-war hue hum
aata hi na us kuche se tabut hamara
dafn aaKHir usi ke pas-e-diwar hue hum
zaKHm-e-kuhan apna hua nasur pe 'rasiKH'
marham ke kisu se na talabgar hue hum
Ghazal
Ghaflat mein kaTi umr na hushyar hue hum
Rasikh Azimabadi