gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
bas ek moti si chhab dikha kar bas ek miThi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-KHwab-e-sahar gaya wo
KHushi ki rut ho ki gham ka mausam nazar use DhunDti hai har dam
wo bu-e-gul tha ki naghma-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo
na ab wo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udas barkha
yunhi zara si kasak hai dil mein jo zaKHm gahra tha bhar gaya wo
kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asman bhi
jo raat bhaari thi Tal gai hai jo din kaDa tha guzar gaya wo
bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke
yahi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main Thahar gaya wo
shikasta-pa rah mein khaDa hun gae dinon ko bula raha hun
jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo
mera tu KHun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi
jo nala uTTha tha raat dil se na jaane kyun be-asar gaya wo
wo mai-kade ko jagane wala wo raat ki nind uDane wala
ye aaj kya us ke ji mein aai ki sham hote hi ghar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo ham-nafas ham-suKHan hamara
sada rahe us ka nam pyara suna hai kal raat mar gaya wo
wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka
teri gali se na jaane kyun aaj sar jhukae guzar gaya wo
wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir'
teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo
Ghazal
Gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo
Nasir Kazmi