ghaar se sang haTaya to wo KHali nikla
kisi qaidi ka na kirdar misali nikla
chaDhte suraj ne har ek hath mein kashkol diya
subh hote hi har ek ghar se sawali nikla
sab ki shaklon mein teri shakl nazar aai mujhe
qura-e-fal mere nam pe gali nikla
ras aae mujhe murjhate hue zard gulab
gham ka partaw mere chehre ki bahaali nikla
kaT gaya jism magar sae to mahfuz rahe
mera shiraaza bikhar kar bhi misali nikla
raat jab guzri to phir subh hina-rang hui
aasman jagi hui aankh ki lali nikla
raat mujh se bhi to har ghar ke dar-o-baam saje
chand ki tarah mera aks KHayali nikla
taKHt KHali hi raha dil ka hamesha 'sajid'
is riyasat ka to koi bhi na wali nikla
Ghazal
Ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla
Iqbal Sajid