ghaaliban waqt ki kami hai yahan
warna har chiz didani hai yahan
sare raste idhar hi aate hain
ye jo aabaad ek gali hai yahan
ye hawa yun hi KHak chhanti hai
ya koi chiz kho gai hai yahan
zindagi hi mera asasa hai
wo bhi taqsim ho rahi hai yahan
kyun andhera nazar nahin aata
kaun si aisi raushni hai yahan
maut kasa uThae phirti hai
aur tahi-dast zindagi hai yahan
mere andar ka shor hai mujh mein
warna bahar to KHamushi hai yahan
shahr apna dikhai deta hai
waise har shaKHs ajnabi hai yahan
kaun si shai hai daimi 'ghaer'
kaun si baat aaKHiri hai yahan
Ghazal
Ghaaliban waqt ki kami hai yahan
Kashif Husain Ghair