اردو हिंदी
Fida kar jaan agar jaani yahi hai | Shaahi Shayari
fida kar jaan agar jaani yahi hai

Ghazal

Fida kar jaan agar jaani yahi hai

Siraj Aurangabadi

;

fida kar jaan agar jaani yahi hai
are dil waqt-e-be-jaani yahi hai

yahi qabr-e-zuleKHa sin hai aawaz
agar hai yusuf-e-sani yahi hai

nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin
karen kya ab to yan pani yahi hai

kisi aashiq ke marne ka nahin taras
magar yan ki musalmani yahi hai

birah ka jaan kandan hai nipaT saKHt
shitab aa mushkil aasani yahi hai

piro tar-e-palak mein dana-e-ashk
ki tasbih-e-sulaimani yahi hai

mujhe zalim ne giryan dekh bola
ki is aalam mein tufani yahi hai

zamin par yar ka naqsh-e-kaf-e-pa
hamara KHatt-e-peshani yahi hai

wo zulf-e-pur-shikan lagti nahin hat
mujhe sari pareshani yahi hai

na phirna jaan dena us gali mein
dil-e-be-jaan ki bani yahi hai

kiya raushan charagh-e-dil kun mere
'siraj' ab fazl-e-rahmani yahi hai