fazaen kaif-e-bahaaran se jab mahakti hain
to dil mein choTen teri yaad ki kasakti hain
shafaq ke rang bhi un ka jawab la na sake
kisi ke chehre pe jo surKHiyan damakti hain
jinhen tumhaara tabassum mila hai wo nazren
faza mein nur ke naghme bikher sakti hain
kabhi kabhi to sitaron ke narm sae mein
kisi ke jism ki parchhaiyan chamakti hain
qadam qadam pe bichhati hai jal tira-shabi
nafas nafas pe nai bijliyan chamakti hain
jahan wo aankhen mera intizar karti thin
ab un darichon se mayusiyan Tapakti hain
sukut-e-shab mein tere intizar ka aalam
ki jaise dur kahin paelen khanakti hain
unhin ka nam kahin masti-e-bahaar na ho
kali ke sine mein jo nikhaten dhaDakti hain
ho intizar kisi ka magar meri nazren
na jaane kyun teri aamad ki rah takti hain
jab un ke aane ki ummid hi nahin 'arshad'
to phir nigahen KHalaon mein kyun bhaTakti hain
Ghazal
Fazaen kaif-e-bahaaran se jab mahakti hain
Arshad Siddiqui