fasl-e-gul mein hai irada su-e-sahra apna
rang kya dekhiye dikhlata hai sauda apna
ishq mein hum jo miTate hain kisi ko kya kaam
jaan apni hai dil apna hai kaleja apna
aah hum karte hain ai yar ke mahfil walo
donon hathon se jigar tham lo apna apna
puchhte kya ho judai mein jo guzri guzri
tum ko malum hai sab haal kahen kya apna
koi mushtaq raha jalwa kisi ne dekha
is ko kya kijiye maqsum hai apna apna
zindagi shart hai kya dard-e-jigar se hoga
apne haq mein to dam apna hai masiha apna
kaam aaya amal-e-nek mera turbat mein
lillahil-hamd ki ek dost to nikla apna
puchhte hain jo koi nam mera leta hai
jaante hain wo mujhe aashiq-e-shaida apna
najd mein dard-e-jigar qais bayan karta hai
KHub hi roegi dil tham ke laila apna
shahr se bhagte hain dasht mein ghabraate hain
dil bahalta hi nahin ab to kisi ja apna
eDiyan mujh se ragaDwaegi majnun ki tarah
nam rakkha hai shab-e-wasl ne laila apna
ai 'sharaf' KHair to hai haal hai kyun sakte ka
aaina le ke zara dekho to chehra apna
Ghazal
Fasl-e-gul mein hai irada su-e-sahra apna
Agha Hajju Sharaf