fasl-e-gul aate hi wahshat ho gai
phir wahi apni tabiat ho gai
kya bataun kis tarah dil aa gaya
kya kahun kyun kar mohabbat ho gai
dekhiye puKHta-mizaji yar ki
ho gai jis par inayat ho gai
intiha-e-na-umidi dekhiye
jo tamanna thi wo hasrat ho gai
Ghazal
Fasl-e-gul aate hi wahshat ho gai
Lala Madhav Ram Jauhar