farogh-e-husn mein kya be-sabaat dil ka wajud
wo aaftab ye shabnam wo aag ye barud
zahe madarij-o-irfan-o-lutf-e-bazm-e-shuhud
hamin hain abd hamin abadiyat hamin mabud
wo bar bar mohabbat se zikr-e-KHair karen
shahid-e-gham ki yahi fatiha yahi hai darud
sawad-e-sham-e-mohabbat hai dud-e-be-atish
tulu-e-subh-e-tamanna hai aatish-e-be-dud
ba-lutf-o-aish-o-nishat-e-jahan mashu nazan
darin sara-e-adam aashna che-hast wa che-bud
nigah-e-naz ke jauhar ye pae kya mumkin
fughan bhi tegh hai lekin hai tegh-e-zang-alud
uThi ghaTa ki tarah chha gai faza ki tarah
hudud-e-husn mein tasir-e-ishq-e-na-mahdud
KHuda ke jalwa-e-qudrat ka puchhna kya hai
jidhar jidhar nazar uTThi udhar udhar maujud
tariq-e-ishq mein kyun bar-e-gham uThae na dil
isi pahaD ke niche hai manzil-e-maqsud
tule hain phir mah-o-anjum mujhe satane par
dil-e-hazin wahi ek nala-e-falak-paimud
ghazab hua ki muqaddar mujhe wahan laya
jahan sukun bhi napaid lutf bhi mafqud
raha ye apni hayat-o-mamat ka aalam
kabhi wajud adam tha kabhi adam tha wajud
nigah-e-naz mein dil ka kuchh eqtidar nahin
agar abhi hai ye maqbul to abhi mardud
hawas-o-hosh farishton ke jis se rah na saken
faza mein gunj raha hai wo naghma-e-daud
baDhae wadi-e-hasrat mein kya qadam koi
ki KHizr-e-rah bhi gum aur rah bhi masdud
farogh-e-husn taghayyur-pasand kuchh bhi nahin
ziya-e-kirmak-e-shab-tab ki hai koi numud
yahan ada-e-faraez ki suraten hain juda
namaz-e-ishq mein wajib nahin ruku-o-sujud
payam-e-marg bhi pahuncha nawed-e-zist ke sath
jo ittifaq se amrit mila to zahr-alud
wafa-o-ishq ki dushwariyan KHuda ki panah
ajab ajab hain sharait ajab ajab hain quyud
tasarrufat-e-mohabbat ke sab karishme hain
nahin to kyun ho tasadduq ayaz par mahmud
adam se aae the hum aur phir adam ko gae
ye hai haqiqat-e-qabl-az-wajud-o-baad-e-wajud
tera qalaq bhi tera dard bhi tera gham bhi
hamare ishq ke itne gawah hain maujud
KHuda kare ki na dawa karen KHudai ka
suna to hoga buton ne natija-e-namrud
bashar ko quwwat-e-ehsas ne KHarab kiya
jo ye na ho to jahan mein na phir ziyan hai na sud
rah-e-talab mein qadam Dagmagae jate hain
sambhaal ya mere allah ya mere mabud
nigah kard zi-qahr-o-itab fitna-gare
ba-in tawaqquf-e-andak hawas-o-hosh-e-rabud
jamal-e-shahid-e-mutlaq se jis ko matlab hai
wo dil said nazar asad aarzu masud
janab-e-'nuh' ko tufan-e-gham se KHauf nahin
ki iKHtiyar mein un ke hai kashti-e-maqsud
Ghazal
Farogh-e-husn mein kya be-sabaat dil ka wajud
Nooh Narvi