farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah
ujala bin ke raho sham-e-rahguzar ki tarah
payambaron ki tarah se jiyo zamane mein
payam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah
ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso
sitara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah
Dara saki na mujhe tirgi zamane ki
andheri raat se guzra hun main qamar ki tarah
samundaron ke talatum ne mujh ko pala hai
chamak raha hun isi waste guhar ki tarah
tamam koh o tal o bahr o bar hain zer-e-nagin
khula hua hun main shahin ke baal-o-par ki tarah
tamam daulat-e-kaunain hai KHiraj us ka
ye dil nahin kisi luTe hue nagar ki tarah
guzar ke KHar se ghunche se gul se shabnam se
main shaKH-e-waqt mein aaya hun ek samar ki tarah
main dil mein talKHi-e-zahrab-e-gham bhi rakhta hun
na misl-e-shahd hun shirin na main shakar ki tarah
KHizan ke dast-e-sitam ne mujhe chhua hai magar
tamam shoala o shabnam hun kashmar ki tarah
meri nawa mein hai lutf-o-surur-e-subh-e-nashat
har ek sher hai rindon ki sham-e-tar ki tarah
ye fatehana ghazal asr-e-nau ka hai aahang
buland o past ko dekha hai dida-war ki tarah
Ghazal
Farogh-e-dida-o-dil lala-e-sahar ki tarah
Ali Sardar Jafri