fareb-e-husn se gabr-o-musalman ka chalan bigDa
KHuda ki yaad bhula shaiKH but se barhaman bigDa
qaba-e-gul ko phaDa jab mera gul-pairahan bigDa
ban aai kuchh na ghunche se jo wo ghuncha-dahan bigDa
nahin be-wajah hansna is qadar zaKHm-e-shahidan ka
teri talwar ka munh kuchh na kuchh ai tegh-zan bigDa
takalluf kya jo khoi jaan-e-shirin phoD kar sar ko
jo thi ghairat to phir KHusraw se hota kohkan bigDa
kisi chashm-e-siyah ka jab hua sabit main diwana
tu mujh se sust hathi ki tarah jangali hiran bigDa
asar iksir ka yumn-e-qadam se teri paya hai
jozami KHak-e-rah mal kar banate hain badan bigDa
teri taqlid se kabk-e-dari ne Thokaren khain
chala jab jaanwar insan ki chaal us ka chalan bigDa
zawal husn khilwata hai mewe ki qasam mujh se
lagaya dagh KHat ne aan kar seb-e-zaqan bigDa
ruKH-e-sada nahin us shoKH ka naqsh-e-adawat se
nazar aate hi aapas mein har ahl-e-anjuman bigDa
jo bad-KHu tifl-e-ashk ai chashm-e-tar hain dekhna ek din
gharaunde ki tarah se gumbad-e-charKH-e-kuhan bigDa
saf-e-mizhgan ki jumbish ka kiya iqbaal ne kushta
shahidon ke hue salar jab hum se tuman bigDa
kisi ki jab koi taqlid karta hai main rota hun
hansa gul ki tarah ghuncha jahan us ka dahan bigDa
kamal-e-dosti andesha-e-dushman nahin rakhta
kisi bhanwre se kis din koi mar-e-yasman bigDa
rahi nafrat hamesha dagh-e-uryani ko phae se
hua jab qata jama par hamare pairahan bigDa
ragaDwain ye mujh se eDiyan ghurbat mein wahshat ne
hua masdud rasta jada-e-rah-e-watan bigDa
kaha bulbul ne jab toDa gul-e-sausan ko gulchin ne
ilahi KHair kijo nil-e-ruKHsar-e-chaman bigDa
irada mere khane ka na ai zagh-o-zaghan kijo
wo kushta hun jise sunghe se kutton ka badan bigDa
amanat ki tarah rakkha zamin ne roz-e-mahshar tak
na ek mu kam hua apna na ek tar-e-kafan bigDa
jahan KHali nahin rahta kabhi iza-dahindon se
hua nasur-e-nau paida agar zaKHm-e-kuhan bigDa
tawangar tha bani thi jab tak us mahbub-e-alam se
main muflis ho gaya jis roz se wo sim-tan bigDa
lage munh bhi chiDhane dete dete galiyan sahab
zaban bigDi to bigDi thi KHabar lije dahan bigDa
banawaT kaif-e-mai se khul gai us shoKH ki 'atish'
laga kar munh se paimane ko wo paiman-shikan bigDa
Ghazal
Fareb-e-husn se gabr-o-musalman ka chalan bigDa
Haidar Ali Aatish