falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin
Dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin
marifat KHaliq ki aalam mein bahut dushwar hai
shahr-e-tan mein jab ki KHud apna pata milta nahin
ghafilon ke lutf ko kafi hai duniyawi KHushi
aaqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin
kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti mein ho KHair
naKHuda milte hain lekin ba-KHuda milta nahin
ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar
sunne wale milte hain dard-ashna milta nahin
zindagani ka maza milta tha jin ki bazm mein
un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin
sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa
kya tajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin
puKHta tabaon par hawadis ka nahin hota asar
kohsaron mein nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin
shaiKH-sahib barhaman se lakh barten dosti
be-bhajan gae to mandir se Tika milta nahin
jis pe dil aaya hai wo shirin-ada milta nahin
zindagi hai talKH jine ka maza milta nahin
log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye
keh do be us ke jawani ka maza milta nahin
ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal
main ye samjha hun KHudi mein to KHuda milta nahin
chal base wo din ki yaron se bhari thi anjuman
hae afsos aaj surat-ashna milta nahin
manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ezaz hai
shah sab baste hain yan koi gada milta nahin
bar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl
shukr ki ja hai agar hajat-rawa milta nahin
chandni raaten bahaar apni dikhati hain to kya
be tere mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin
mani-e-dil ka kare izhaar 'akbar' kis tarah
lafz-e-mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin
Ghazal
Falsafi ko bahs ke andar KHuda milta nahin
Akbar Allahabadi