ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai
is manzar mein us ke alawa koi akela kafi hai
dene wala jholiyan bhar bhar deta hai to us ka karam
lene wale kab kahte hain data itna kafi hai
ek ghalat-andaz nazar se gulshan gulshan dagh jalen
shabnam shabnam rulwane ko ek hi jumla kafi hai
KHushk labon par pyas sajae bahr-e-asham nahin hain hum
hum jaison ko tishna-labi mein ek hi dariya kafi hai
ab to aur bhi duniyaen hain muntazir-e-arbab-e-hawas
un logon ka qaul nahin hai hum ko ye duniya kafi hai
shahr-e-wafa se dasht-e-junun tak chahe jitne marahil hun
wahshat ke to dusre ruKH par ek daricha kafi hai
husn-e-suKHan baqi rakhne ko kuchh ibham zaruri hai
kahte kahte ruk jaane mein hai jo ishaara kafi hai
us ke afsun us ke fasane donon ko mashur rakhen
aql-o-junun ki dahlizon par KHwab ka pahra kafi hai
ek sabha dil walon ki ek tan rasile logon ki
shahr ke raushan rakhne ko itna sa ujala kafi hai
Ghazal
Ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai
Aslam Ansari