ek saya mera masiha tha
kaun jaane wo kaun tha kya tha
wo faqat sahn tak hi aati thi
main bhi hujre se kam nikalta tha
tujh ko bhula nahin wo shaKHs ki jo
teri banhon mein bhi akela tha
jaan-lewa thin KHwahishen warna
wasl se intizar achchha tha
baat to dil-shikan hai par yaro
aql sachchi thi ishq jhuTa tha
apne mear tak na pahuncha main
mujh ko KHud par baDa bharosa tha
jism ki saf-goi ke ba-wasf
ruh ne kitna jhuT bola tha
Ghazal
Ek saya mera masiha tha
Jaun Eliya