ek muddat se talabgar hun kin ka in ka
tishna-e-hasrat-e-didar hun kin ka in ka
jaan ko bech ke ye naqd-e-dil ab laya hun
sab se pahle main KHaridar hun kin ka in ka
imtidad is mere bimar ka mat puchh tabib
roz-e-misaq se bimar hun kin ka in ka
muKHlisi qaid se mushkil hai mujhe ta-dam-e-marg
dam-e-ulfat mein giraftar hun kin ka in ka
bud-o-bash apna bataun main tumhein kya yaro
sakin-e-saya-e-dar hun kin ka in ka
hai baja faKHr karun apni agar tala par
kafsh-bardaron ka sardar hun kin ka in ka
galiyan tujh ko jo dete hain ye 'hatim' hain kaun
kuchh na puchho mein gunahgar hun kin ka in ka
to saza-war-e-saza kis ka hua hai 'hatim'
sahib-e-man main gunahgar hun kin ka in ka
Ghazal
Ek muddat se talabgar hun kin ka in ka
Shaikh Zahuruddin Hatim

