ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha
warna dil ka marna aasan tha mushkil na tha
shauq-e-azadi mein taDpun us pe raazi dil na tha
warna betabi salamat chhuTna mushkil na tha
hashr mein wo sar jhukae hain main shikwa kya karun
jaane wali jaan thi mera koi qatil na tha
ab sulaimani kise kahte hain batla de mujhe
ek aalam tha teri muTThi mein mera dil na tha
de sada ab dil magar naqsh-e-qadam ko dekh kar
aise bhi dar hain kabhi jin par koi sail na tha
KHas waqt-e-yaad-e-gulshan aur mera chheDna
shab ko bhi sayyaad mere zabh se ghafil na tha
subh-o-sham-e-gham ne daman bhar ke bheja dahr se
warna is umr-e-do-roza ka koi hasil na tha
us ki qudrat na-tawanon ko bhi deta hai uruj
aasman se sar chaDhe nala to is qabil na tha
tere naqshe ne bhi furqat mein na bahlaya mujhe
sham-e-gham jab aai gurdon par har kaamil na tha
dekh lete do qadam chal kar ki matlab tha yahi
dar pe jo aaya tha wo bimar tha sail na tha
qalb-e-sozan aur hi dhoka na khana dahr mein
rah gaya jo aag de kar sang tha wo dil na tha
kuchh sambhal jata agar karwaT badal jate meri
ye mujhe dushwar tha un ke liye mushkil na tha
Dubta tha dil shab-e-wasl aa chuki thi ta-sahar
ek tinke ka sahaara bhi lab-e-sahil na tha
is dil-e-gum-gashta matlab ke sabab se dahr mein
kaun sa din tha ki main aawara-e-manzil na tha
ek jalti shama uThwa di bahut achchha kiya
soKHta-dil tha main koi raunaq-e-mahfil na tha
sham-e-gham jis mein rahe barson wahan kya id ho
wo to aa jae magar ye dil hi is qabil na tha
juz fareb-e-husn aur ulfat ko 'saqib' kya kahun
zindagi se shai kabhi us par bhi dil mail na tha
Ghazal
Ek maqtul-e-jafa do zulm ke qabil na tha
Saqib Lakhnavi