ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki
dast-e-talab kuchh aur baDhate haf-iqlim bhi mil jate
hum ne to kuchh TuTe-phuTe jumlon hi pe qanaat ki
shohrat ke gahre dariya mein Dube to phir ubhre nahin
jin logon ko apna samjha jin logon se mohabbat ki
ek doraha aisa aaya donon TuT ke gir jate
bachchon ke hathon ne sambhaala buDhon hi ne hifazat ki
jama-e-ulfat bunte aae rishton ke dhagon se hum
umr ki qainchi kaT gai ab kahe ko itni mehnat ki
Ghazal
Ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki
Zehra Nigaah