ek insan hun insan ka parastar hun main
phir bhi duniya ki nigahon mein gunahgar hun main
gardish-e-waqt ne is haal mein chhoDa hai mujhe
ab kisi shahr ka luTa hua bazar hun main
dar pe rahne de mujhe TaT ka parda hi sahi
tere aslaf ka chhoDa hua kirdar hun main
kitna mazbut hai ai dost talluq ka mahal
barf ki chhat hai jo tu ret ki diwar hun main
KHun-bar-dosh hun main zang-rasida to nahin
hai mujhe faKHr ki TuTi hui talwar hun main
ye jafaon ki saza hai ki tamashai hai tu
ye wafaon ki saza hai ki pae-dar hun main
hath phaila to kisi sae ne roka 'hamid'
us se puchha to kaha jazba-e-KHud-dar hun main
Ghazal
Ek insan hun insan ka parastar hun main
Hamid Mukhtar Hamid