اردو हिंदी
Ek hi muzhda subh lati hai | Shaahi Shayari
ek hi muzhda subh lati hai

Ghazal

Ek hi muzhda subh lati hai

Jaun Eliya

;

ek hi muzhda subh lati hai
dhup aangan mein phail jati hai

rang-e-mausam hai aur baad-e-saba
shahr kuchon mein KHak uDati hai

farsh par kaghaz uDte phirte hain
mez par gard jamti jati hai

sochta hun ki us ki yaad aaKHir
ab kise raat bhar jagati hai

main bhi izn-e-nawa-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai

so gae peD jag uThi KHushbu
zindagi KHwab kyun dikhati hai

us sarapa wafa ki furqat mein
KHwahish-e-ghair kyun satati hai

aap apne se ham-suKHan rahna
ham-nashin sans phul jati hai

kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai

kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz TuT jati hai