ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera
dukh sukh ka ye jantar-mantar jitna tera utna mera
gehun chawal banTne wale jhuTa taulen to kya bolen
yun to sab kuchh andar bahar jitna tera utna mera
har jiwan ki wahi wirasat aansu sapna chahat mehnat
sanson ka har bojh barabar jitna tera utna mera
sansen jitni maujen utni sab ki apni apni ginti
sadiyon ka itihas samundar jitna tera utna mera
KHushiyon ke baTware tak hi unche niche aage pichhe
duniya ke miT jaane ka Dar jitna tera utna mera
Ghazal
Ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera
Nida Fazli