ek aansu mein tere gham ka ahata karte
umr lag jaegi is bund ko dariya karte
ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil
jaan deni ho to aashiq nahin socha karte
ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun
aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte
zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna
samne tujh ko biTha baiTh ke dekha karte
hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha
apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte
ab yahi sochte rahte hain bichhaD kar tujh se
shayad aise nahin hota agar aisa karte
jo bhi hum dekhte hain saf nazar aa jata
chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte
shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain
KHud bure ban gae 'asim' use achchha karte
Ghazal
Ek aansu mein tere gham ka ahata karte
Asim Wasti