ehsas dekh pae wo manzar talash kar
aankhen jo hain to bu-e-gul-e-tar talash kar
mera wajud jazb hua tere jism mein
ab mujh ko apne jism ke andar talash kar
tanhaiyon ke gahre samundar mein Dub ja
zaKHmon ke phul dard ke gauhar talash kar
tera badan to TuT gaya wasl hi ki shab
ab aaine mein KHud ko na din bhar talash kar
har dil se mangta hai jo taza lahu ki bhik
basti mein koi aisa gadagar talash kar
main thak gaya hun KHak bayaban ki chhan kar
mauj-e-nasim tu hi mera ghar talash kar
dasht-e-wafa mein yun na bhaTak dar-ba-dar 'nawed'
sar ban gaya hai bojh to patthar talash kar
Ghazal
Ehsas dekh pae wo manzar talash kar
Aliuddeen Naved