dudman-e-dard ki shadi hain hum
KHandan-e-gham ki aabaadi hain hum
apni shumi se hui shadi ghami
shayad aabaadi ki barbaadi hain hum
apne aab-e-chashm se sarsabz hain
zeb-e-dasht-o-zinat-e-wadi hain hum
darmiyan-e-zindagi-o-marg hain
qabil-e-said o na sayyaadi hain hum
zaKHm-ha-e-hijr mein kya kya sahe
kushtagan-e-tegh-e-fauladi hain hum
banda-e-pirem ya-rab az azab
murid-e-altaf-e-azadi hain hum
hum nahin kahte muqallid hain tere
tere dar ke kalb-e-qilladi hain hum
dad kar ai dad-gar ushshaq-kush
tere aage tujh se fariyaadi hain hum
KHun-baha mashuq se lete nahin
aashiq-e-insaf-e-be-dadi hain hum
duKHtar-e-raz ko koi hum se kahe
tere to haqdar damadi hain hum
hum gunahgar-e-janab-e-ishq hain
abd-e-ubbaadi na auradi hain hum
ai azizan tark-e-ishq-e-husn mein
sang par jun naqsh-e-bahzadi hain hum
la-walad kahte hain hum ko la-walad
sher se az-bas-ki auladi hain hum
aaqibat KHaki hain KHaki honge ne
aatishi-o-ahi-o-baadi hain hum
fath-baghi ne nasar-puri hain balki
sindh mein bhi haidrabaadi hain hum
kya kahen kya the kahan se aae hain
misl-e-mazmun-e-nau iradi hain hum
phir bhi wo irad karne sakta hai
jis ke awwal bar ijadi hain hum
mast-e-ahmad se 'matam' hain shakar*
ne sumudi qaum ne aadi hain hum
Ghazal
Dudman-e-dard ki shadi hain hum
Maatam Fazl Mohammad