Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein
main hun patthar ki tarah bahte hue pani mein
ye mohabbat to bahut baad ka qissa hai miyan
main ne us hath ko pakDa tha pareshani mein
raftagan tum ne abas Dhong rachaya warna
ishq ko daKHl nahin maut ki arzani mein
ye mohabbat bhi wilayat ki tarah rakhti hai
haalat-e-haal mein ye haalat-e-hairani mein
is liye jal ke kabhi rakh nahin hota dil
ye kabhi aag mein hota hai kabhi pani mein
ek mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'
kuchh baDe faisle ho jate hain nadani mein
Ghazal
Dub kar bhi na paDa farq giran-jaani mein
Abbas Tabish