اردو हिंदी
Duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi | Shaahi Shayari
duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi

Ghazal

Duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi

Zafar Akbarabadi

;

duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi
duniya ke pas zahar bahut tha dawa na thi

raushan tha dil mein sirf kisi yaad ka charagh
ghar mein koi bhi raushni us ke siwa na thi

main tha wafa-sarisht mujhe thi wafa aziz
wo tha bahana-ju use KHu-e-baha na thi

yun koi mere pas se ho kar guzar gaya
jaise kabhi nazar se nazar aashna na thi

be-wajh sangsar jo mujh ko kiya gaya
wo thi ek intiqam ki surat saza na thi

dil bhi kisi ke jaur pe tha dam-ba-KHud 'zafar'
lab par bhi ehtijaj ki koi sada na thi