duniya ko kya KHabar? meri duniya phir aa gai
wo ruh-e-naz o jaan-e-tamanna phir aa gai
ai ruh-e-qais! tahniyat-e-shauq de mujhe
laila phir aa gai meri laila phir aa gai
ab aur kya hai chashm-e-tamasha ki aarzu
wo aarzu-e-chashm-e-tamasha phir aa gai
kahte hue ki aap ke sirf aap ke liye
sab se bichhaD ke aap ki azra phir aa gai
ruThe hue the aap manane ke waste
ye mujrim-e-gunah-e-tamanna phir aa gai
ahbab-e-raaz-dan mein yahi tazkira hai aaj
furqat-zada 'rais' ki duniya phir aa gai
Ghazal
Duniya ko kya KHabar? meri duniya phir aa gai
Rais Amrohvi