dukh apna agar hum ko batana nahin aata
tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak
kya baat hui kyun wo zamana nahin aata
main bhi use khone ka hunar sikh na paya
us ko bhi mujhe chhoD ke jaana nahin aata
is chhoTe zamane ke baDe kaise banoge
logon ko jab aapas mein laDana nahin aata
DhunDhe hai to palkon pe chamakne ke bahane
aansu ko meri aankh mein aana nahin aata
tariKH ki aankhon mein dhuan ho gae KHud hi
tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata
Ghazal
Dukh apna agar hum ko batana nahin aata
Waseem Barelvi