dua ka TuTa hua harf sard aah mein hai
teri judai ka manzar abhi nigah mein hai
tere badalne ke ba-wasf tujh ko chaha hai
ye e'tiraf bhi shamil mere gunah mein hai
azab dega to phir mujh ko KHwab bhi dega
main mutmain hun mera dil teri panah mein hai
bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai
wo rakh rakhao abhi mere kaj-kulah mein hai
jise bahaar ke mehman KHali chhoD gae
wo ek makan abhi tak makin ki chah mein hai
yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha
hamari sal-girah Thik ab ke mah mein hai
main bach bhi jaun to tanhai mar Dalegi
mere qabile ka har fard qatl-gah mein hai
Ghazal
Dua ka TuTa hua harf sard aah mein hai
Parveen Shakir