dosti mein fasle hote nahin
pyar mein ye tajziye hote nahin
kya zaruri hai ki wo mujrim bhi hon
jin ke haq mein faisle hote nahin
soch kar tum ye talluq toDte
TuT kar patte hare hote nahin
raushni hoti nahin us bazm mein
jis mein shamil-e-dil jale hote nahin
marke sar hote hain jin ke tufail
un ke akasr tazkire hote nahin
apne to apne hi hote hain faqat
apnon mein achchhe bure hote nahin
un ka Dar jata nahin tasir kyun
han wahi jo hadse hote nahin

Ghazal
Dosti mein fasle hote nahin
sharmaa Taseer