dopahar raat aa chuki hila-bahana ho chuka
aur masti mil chuke gesu mein shana ho chuka
nawak-e-mizhgan ka apna dil nishana ho chuka
mar chuke hum maut aane ka bahana ho chuka
ahd-e-piri hai jawani ka zamana ho chuka
KHatm ab mazmun sher-e-ashiqana ho chuka
ab KHizan hai mausam-e-gul ka zamana ho chuka
ho chuki gul-bang bulbul ka tarana ho chuka
shir se shirin ko raghbat thi unhen hai zauq-e-mai
daur bhi ab aur hai agla zamana ho chuka
saqiya piri mein to shaghl-e-subuhi hai zarur
ab bhi pichhla daur hai agla zamana ho chuka
shabnami par os paDti hai jo apni zist mein
to pas-e-murdan lahad par shamiyana ho chuka
hum to gard-e-karwan the sab se pichhe rah gae
qafila reg-e-rawan ka bhi rawana ho chuka
aasman par tan-e-buKHl ahl-e-zamin ko hai abas
pani pani ho gaya jab dana dana ho chuka
chaT chuke qaid-e-qafas se ab asiran-e-chaman
baad virane ke aabaad aashiyana ho chuka
aamad-e-fasl-e-bahaari ki KHabar lai nasim
bagh mein bulbul ka tayyar aashiyana ho chuka
kya KHizan mein aab-o-rang-e-bagh fawwaron se ho
sab zar-e-gul luT chuka KHali KHazana ho chuka
wae nadani ki ab fikr-e-subuk-doshi hui
daftar-e-isyann jab apna bar-e-shana ho chuka
gil uTha zanjir se pariyon ka diwana hai ye
ishq mein badnam main KHana-ba-KHana ho chuka
gor tak wo sath mayyat ke rahe had ho gai
dushman-e-jaan se bhi haqq-e-dostana ho chuka
hum faqiron ke bhi ghar lai thi un ko sadgi
ab wo lillah hai buton ka karKHana ho chuka
KHwab-e-ghaflat 'mehr' kab tak jagiye uTh baiThiye
subh hone aai shab guzri fasana ho chuka
Ghazal
Dopahar raat aa chuki hila-bahana ho chuka
Hatim Ali Mehr