اردو हिंदी
Dini hain sab koi raati nahin hai | Shaahi Shayari
dini hain sab koi raati nahin hai

Ghazal

Dini hain sab koi raati nahin hai

Farhat Ehsas

;

dini hain sab koi raati nahin hai
andheron ka koi sathi nahin hai

to kya be-KHwab hi rah jaunga main
mujhe to nind hi aati nahin hai

ki har bimar un aankhon se dawa pae
shifa-KHana ye KHairaati nahin hai

laga hai kitna sarmaya zaban ka
ye kar-e-shairi zati nahin hai

tarashi ja chuki ummid ki lau
diya jalta hua baati nahin hai

sada jati to hai us ki gali mein
wahan se le ke kuchh aati nahin hai

akele paD gae hum karwan mein
ki ab ke wo mera sathi nahin hai

lage hain sare sazinde badan ke
magar ye ruh naghmati nahin hai

rahega be-badan hi 'farhat-ehsas'
hawa par koi deh aati nahin hai