din saliqe se uga raat Thikane se rahi
dosti apni bhi kuchh rose zamane se rahi
chand lamhon ko hi banti hain musawwir aankhen
zindagi rose to taswir banane se rahi
is andhere mein to Thokar hi ujala degi
raat jangal mein koi shama jalane se rahi
fasla chand bana deta hai har patthar ko
dur ki raushni nazdik to aane se rahi
shahr mein sab ko kahan milti hai rone ki jagah
apni izzat bhi yahan hansne hansane se rahi
Ghazal
Din saliqe se uga raat Thikane se rahi
Nida Fazli